Dec 12
10 saal….lagta nahi….waqt ki gard taley dabey un yadoon ke liye shayaad bhag daur bhari zindagi main ab koi waqt na ho… par na janey kyon aaj ke ek din koi lumha zaroor tehar jata hoga…
kya guzartey waqt ka, lumha koi thehar jata hoga
Koi bhatkta-awara pal, yaad meri dilate hooga
kisi udaas raat main, chand se shikayat meri karta hooga,
Betey dino ki aag main, meri tarah kabhi wo jalta hooga
Khandehron se niqalta koi ujara rasta meri dastan sunata hoga
puraney sehar ke kisi mor par meri yaad se thokar khata hoga
kabhi nigah uski bhi door talak ja ke laut aati hoogi
Meri tarasti aankon ka akhir usey bhi to guma hooga
