u hota kyon hai
aaj phir tenhai se pucha ki hum tenha kyun hai
wo jo meri mohabbat thi voo kisi aur ke kismat kyun hai
nazarain ab bhi dhoondha karti hain unhi parchayion ko
kaali parchayioon main ye raang ubhar aata kyun hai
har sham teri aankon ki chamak, falak rang jaati hai
phuti aankon ko ye manzar nazar aata kyun hai
kai baar khuda se u hin ek sarsari si dua maangi thi
khuda janey duaon ki katar main mera purza pichad jata kyun hai
Kisi hamdard ki salah
samay rehte kyo nahi thaam li mohabbat
wo jo itni azeez thi kabhi thi tumhari kismat
ab kyo dhoondtey ho guzare sanyey
jo rang lagte hai wo sirf shayar-e-khayal hai
bhool jao un aankhon ko, jo bhool chuki tumko
phir shayad naye manzar nazar aye tumko
dua karo khuda se, magar dil se, phursat se
allah ke darbar me ‘gar hai to woh mohabbat hai…
kya karron e dost
kismat ka badalna to uski fitrat thi
anjam-y-mohabat to sirf kurbat thi,
dondh.ta nahi khoye sapney, jeeta hoon unhey,
spano main koi aaj bhi pyar karta hai mujhe
such boolun to bholna chahta hoon,
sab kuch bhoolna chahta hoon
wo jab paheli bar un kathayi aankhon ko dekha tha,
wo sardio ki chamakti doophar ko, jab dil dadka tha
bhoolna chaahta hun us toofani shaam ko,
jab zindagi filmi lagney lagi thi
bhoolna chaahta hun us dobtey sooraj ko
jo har sham terey chehray ko surk kar jata tha
bhoolna chaahta hun un ujali kalayion ko,
un reshami baaloon ko,
us alhar hansi ko
us gulabi kurtey ko,
baba ki chai ko,
un gobhi ke paronthoon ko bhi…
sab kuch bhool jana chahta hoon.
par kya karron e dost, yoon pyar karna sikha gaya koi,
ki pyar bhool jaaney ka gur, main seekh pata hi nahi
Kisi ne jeety raheny aur tadapney ki ‘dua’ di thi kabhi,
ho gayi dua kubul uski, u.n kar ab mar bhi nahi pata main abhi
Kya naam doon isko
Mohabbat ka anjam mohabbat hai,
taqdeer badal bhi jaye to kya hai,
yeh jahaan nahi to kahi aur sahi,
Mohabbat ki kabhi shikast nahi.
Tum me ‘gar woh kashish hai
to zindagi ke safar me koyee kaafir to milega.
Manti hoon ki khwabon par koi zor nahi
kambakht aab-e-deedah kar jatey hai…
par zara socho, jab thoda inke kareeb aatey ho,
kitne pardo ke peechey yeh chip jaatey hai
aakhir yeh sirf khwaab hai…
haqeeqat hai ki tum tanha ho.
Bujha do yaddon ki aag ko, iski garami me sirf jalogey
Kinhi aur aankhon me jhanko, baad-e-sabaa bikharney do.
Sardiya aaj bhi sunheri hai, kayee dil aur tanha hai
Reshmi baalon me muskuratey khoobsoorat chehre
ek pyar ki nazar ke liye tarastey…
Har taraf mohabbat hai
Us mohabbat ke naam jo aaj bhi tumaharey dil me salamat hai
aisi mohabbat ki saugat kisi aur dil ko dekar dekho
Phir shayad jaanoge tumhari baano ki mohabbat-e-dua kya thi.
